jise tum dekh lo tirchhi nazar se
jise tum dekh lo tirchhi nazar se
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
jise tum dekh lo tirchhī nazar se
bahe ḳhūn-e-jigar us chashm-e-tar se
agar kuchh be-ruḳhī paa.ī nazar se
lipaT jā.ūñgā qātil kī kamar se
pas-e-dīvār naale kis ne khīñche
nikal aa.e jo ghabrā ke vo ghar se
maiñ qaa.il kyoñ na huuñ apnī nigah kā
laḌī hai jā ke kis rashk-e-qamar se
mirī sūrat koī dekhe shab-e-vasl
udāsī muñh pe hai ḳhauf-e-sahar se
sivā is dil ke kis kā hausla hai
milā.e aañkh qātil kī nazar se
hazāroñ dil jigar hote haiñ pāmāl
nikal jaate haiñ vo jis rah-guzar se
hamesha garm ho pahlū adū kā
tirā jāñbāz ik bose ko tarse
ye haiñ kyā chiiz in ko kyoñ chhupā.eñ
dil-o-jāñ donoñ sadqe aap par se
taḌap kar kis tarah kaaTī haiñ ghaḌiyāñ
use tum pūchh lo dard-e-jigar se
shab-e-ġham hai jo milne kā irāda
ajal mil le zarā dard-e-jigar se
nigāheñ pher kar kahnā kisī kā
na dekho ham ko hasrat kī nazar se
unheñ le aa.egā samjhā bujhā kar
nahīñ ummīd ye paiġhāmbar se
jigar kahnā hai dil se haal apnā
dil apnā dard kahnā hai jigar se
'diler' apne to marg-e-ġhair par bhī
nikal paḌte haiñ aañsū chashm-e-tar se
jise tum dekh lo tirchhi nazar se
bahe KHun-e-jigar us chashm-e-tar se
agar kuchh be-ruKHi pai nazar se
lipaT jaunga qatil ki kamar se
pas-e-diwar nale kis ne khinche
nikal aae jo ghabra ke wo ghar se
main qail kyon na hun apni nigah ka
laDi hai ja ke kis rashk-e-qamar se
meri surat koi dekhe shab-e-wasl
udasi munh pe hai KHauf-e-sahar se
siwa is dil ke kis ka hausla hai
milae aankh qatil ki nazar se
hazaron dil jigar hote hain pamal
nikal jate hain wo jis rah-guzar se
hamesha garm ho pahlu adu ka
tera jaanbaz ek bose ko tarse
ye hain kya chiz in ko kyon chhupaen
dil-o-jaan donon sadqe aap par se
taDap kar kis tarah kaTi hain ghaDiyan
use tum puchh lo dard-e-jigar se
shab-e-gham hai jo milne ka irada
ajal mil le zara dard-e-jigar se
nigahen pher kar kahna kisi ka
na dekho hum ko hasrat ki nazar se
unhen le aaega samjha bujha kar
nahin ummid ye paighambar se
jigar kahna hai dil se haal apna
dil apna dard kahna hai jigar se
'diler' apne to marg-e-ghair par bhi
nikal paDte hain aansu chashm-e-tar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.