jism bhi aankh ke pani se hara rahta tha
jism bhī aañkh ke paanī se harā rahtā thā
sar bhī kyā sar thā ki zaanū pe paḌā rahtā thā
aah fariyād ke mausam bhī guzarte the magar
aisī bastī hī nahīñ thī ki ḳhudā rahtā thā
us ke bartāv se samjhā ki muqaddar meñ hai pyaas
nahr thā aur sarāboñ se ghirā rahtā thā
aañkh par aañkh paḌī rahtī thī aur phuul pe phuul
us ke hamrāh ajab baaġh sajā rahtā thā
aap hī aap ulajh jaatī thiiñ bāteñ apnī
yā koī chor kahīñ dil meñ chhupā rahtā thā
maiñ ne daryāft kiyā ek hī shaḳhs aisā 'kumār'
maiñ na guzrūñ bhī to raste meñ bichhā rahtā thā
jism bhi aankh ke pani se hara rahta tha
sar bhi kya sar tha ki zanu pe paDa rahta tha
aah fariyaad ke mausam bhi guzarte the magar
aisi basti hi nahin thi ki KHuda rahta tha
us ke bartaw se samjha ki muqaddar mein hai pyas
nahr tha aur sarabon se ghira rahta tha
aankh par aankh paDi rahti thi aur phul pe phul
us ke hamrah ajab bagh saja rahta tha
aap hi aap ulajh jati thin baaten apni
ya koi chor kahin dil mein chhupa rahta tha
main ne daryaft kiya ek hi shaKHs aisa 'kumar'
main na guzrun bhi to raste mein bichha rahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.