jism-e-maslub ka yak-laKHt naya ho jaana
jism-e-maslūb kā yak-laḳht nayā ho jaanā
sāmne aanā tirā jashn bapā ho jaanā
nisf īmān pe nāchīz Tikā hai kab se
maan letā nahīñ bande kā ḳhudā ho jaanā
der tak us ne lagā.e rakhā siine se mujhe
jis se sīkhā hai daraḳhtoñ ne harā ho jaanā
dushman-e-jāñ ho agar aise ḳhudāoñ kā hujūm
ham ne sīkhā nahīñ rāzī-ba-razā ho jaanā
aaj sar kaaT ke jannat nahīñ māñgī tum ne
hai burī baat namāzoñ kā qazā ho jaanā
aise mansūbe ko nākām kareñge ham log
is meñ shāmil hai agar terā ḳhudā ho jaanā
jism-e-maslub ka yak-laKHt naya ho jaana
samne aana tera jashn bapa ho jaana
nisf iman pe nachiz Tika hai kab se
man leta nahin bande ka KHuda ho jaana
der tak us ne lagae rakha sine se mujhe
jis se sikha hai daraKHton ne hara ho jaana
dushman-e-jaan ho agar aise KHudaon ka hujum
hum ne sikha nahin raazi-ba-raza ho jaana
aaj sar kaT ke jannat nahin mangi tum ne
hai buri baat namazon ka qaza ho jaana
aise mansube ko nakaam karenge hum log
is mein shamil hai agar tera KHuda ho jaana
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 24)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.