jism gher leti hai phir bhi zard tanhai
jism gher letī hai phir bhī zard tanhā.ī
titliyoñ meñ din guzrā jugnuoñ meñ raat aa.ī
chāñdnī kī bāñhoñ meñ gumrahī kā bichchhū hai
aur us ke dāman meñ mere dil kī bīnā.ī
dil ke saare darvāze band the udāsī par
kal phir ek raqqāsa khiḌkiyoñ se ghus aa.ī
ai matā.a-e-jism-o-jāñ chashm-e-tar kī nauha-ḳhvāñ
tū mirī ḳhushī apne ḳhvāb bech kar laa.ī
jism gher leti hai phir bhi zard tanhai
titliyon mein din guzra jugnuon mein raat aai
chandni ki banhon mein gumrahi ka bichchhu hai
aur us ke daman mein mere dil ki binai
dil ke sare darwaze band the udasi par
kal phir ek raqqasa khiDkiyon se ghus aai
ai mataa-e-jism-o-jaan chashm-e-tar ki nauha-KHwan
tu meri KHushi apne KHwab bech kar lai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.