jism jab mail-e-parwaz-e-digar hota hai
jism jab mā.il-e-parvāz-e-digar hotā hai
manzil-e-shauq ko phir merā safar hotā hai
sāhil-e-hosh pe hai dard kī dīvār aziim
aañkh jhapkāo to dīvār meñ dar hotā hai
dil samajhtā hai ki lo aa ga.ī manzil apnī
qāfila yaad kī vaadī meñ magar hotā hai
dil ne is vādī-e-vīrān ko kyoñ apnāyā
aisī sunsān jagah bhī koī ghar hotā hai
kaun jaane ki yahāñ vo kabhī milne aa.e
kaun jaane ki yahāñ us kā guzar hotā hai
jism jab mail-e-parwaz-e-digar hota hai
manzil-e-shauq ko phir mera safar hota hai
sahil-e-hosh pe hai dard ki diwar azim
aankh jhapkao to diwar mein dar hota hai
dil samajhta hai ki lo aa gai manzil apni
qafila yaad ki wadi mein magar hota hai
dil ne is wadi-e-viran ko kyon apnaya
aisi sunsan jagah bhi koi ghar hota hai
kaun jaane ki yahan wo kabhi milne aae
kaun jaane ki yahan us ka guzar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.