jism ka joD joD miTTi ka
jism kā joḌ joḌ miTTī kā
yā'nī ham haiñ nichoḌ miTTī kā
kuchh na kuchh to nikal hī aa.egā
tū bhī dāman jhiñjhoḌ miTTī kā
āsmāñ kī rasā.ī Thiik magar
ḳhud se rishta na toḌ miTTī kā
dekhnā ek din ḳhudā-e-karīm
degā āñgan sikoḌ miTTī kā
kaise miTTī se nuur ho jā.ūñ
koī to hogā toḌ miTTī kā
le ye chādar bichhā le miTTī kī
le ye kambal bhī oḌh miTTī kā
us ne kaise banāyā hai 'sūfī'
ruuh ke saath joḌ miTTī kā
jism ka joD joD miTTi ka
ya'ni hum hain nichoD miTTi ka
kuchh na kuchh to nikal hi aaega
tu bhi daman jhinjhoD miTTi ka
aasman ki rasai Thik magar
KHud se rishta na toD miTTi ka
dekhna ek din KHuda-e-karim
dega aangan sikoD miTTi ka
kaise miTTi se nur ho jaun
koi to hoga toD miTTi ka
le ye chadar bichha le miTTi ki
le ye kambal bhi oDh miTTi ka
us ne kaise banaya hai 'sufi'
ruh ke sath joD miTTi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.