jism ka sara lahu aankhon mein bhar jaane diya
jism kā saarā lahū āñkhoñ meñ bhar jaane diyā
baat izzat par agar aa.ī to sar jaane diyā
saste logoñ ko palaT kar kuchh nahīñ bolā kabhī
ham ne kuchh logoñ ko un kī maut mar jaane diyā
pahle pahle to bahut rakkhā hayā kā ehtimām
rafta rafta phir use had se guzar jaane diyā
ham ne nā-fahmoñ se kar ke shā.erī par guftugū
rā.egāñ hargiz na lafzoñ kā hunar jaane diyā
us ne bas ik baar jaane ko kahā thā 'altamash'
rok sakte the use ham ne magar jaane diyā
jism ka sara lahu aankhon mein bhar jaane diya
baat izzat par agar aai to sar jaane diya
saste logon ko palaT kar kuchh nahin bola kabhi
hum ne kuchh logon ko un ki maut mar jaane diya
pahle pahle to bahut rakkha haya ka ehtimam
rafta rafta phir use had se guzar jaane diya
hum ne na-fahmon se kar ke shaeri par guftugu
raegan hargiz na lafzon ka hunar jaane diya
us ne bas ek bar jaane ko kaha tha 'altamash'
rok sakte the use hum ne magar jaane diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.