jism kachcha makan hai pyare
jism kachchā makān hai pyāre
is pe nā-haq gumān hai pyāre
qarz ne khā liyā hai ghar us kā
ab saḌak par kisān hai pyāre
duur tak jaam kyoñ hue raste
kaun sā ab nahān hai pyāre
kaisī duniyā meñ log rahte haiñ
har taraf khīñch-tān hai pyāre
chain kaise paḌe taḳhayyul ko
is nadī meñ ufaan hai pyāre
rishte naate tamām bikte haiñ
har jagah ye dukān hai pyāre
zid ke aage koī nahīñ Tiktā
kitne din āsmān hai pyāre
us ke hone se hai jahān 'suman'
us ke bin kab jahān hai pyāre
jism kachcha makan hai pyare
is pe na-haq guman hai pyare
qarz ne kha liya hai ghar us ka
ab saDak par kisan hai pyare
dur tak jam kyon hue raste
kaun sa ab nahan hai pyare
kaisi duniya mein log rahte hain
har taraf khinch-tan hai pyare
chain kaise paDe taKHayyul ko
is nadi mein ufan hai pyare
rishte nate tamam bikte hain
har jagah ye dukan hai pyare
zid ke aage koi nahin Tikta
kitne din aasman hai pyare
us ke hone se hai jahan 'suman'
us ke bin kab jahan hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.