jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun
jism ke ḳhol se niklūñ to qazā ko dekhūñ
but ko raste se haTā.ūñ to ḳhudā ko dekhūñ
aisā kyā jurm huā hai ki taḌapte marte
apne ehsās kī suulī pe anā ko dekhūñ
boltī aañkh kā ras hañste hue lafz kā ruup
baat nazroñ kī sunūñ yā ki sadā ko dekhūñ
in kī qismat ki khileñ roz tamannā ke gulāb
merī taqdīr ki zaḳhmoñ kī chitā ko dekhūñ
is tavaqqo' pe ki shāyad koī darvesh mile
ġhaur se shahr ke ek ek gadā ko dekhūñ
mujh ko tahzīb ke maktab ne sikhāyā hai yahī
taḳhtī-e-dil na paḌhūñ rañg-e-qabā ko dekhūñ
jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun
but ko raste se haTaun to KHuda ko dekhun
aisa kya jurm hua hai ki taDapte marte
apne ehsas ki suli pe ana ko dekhun
bolti aankh ka ras hanste hue lafz ka rup
baat nazron ki sunun ya ki sada ko dekhun
in ki qismat ki khilen roz tamanna ke gulab
meri taqdir ki zaKHmon ki chita ko dekhun
is tawaqqo' pe ki shayad koi darwesh mile
ghaur se shahr ke ek ek gada ko dekhun
mujh ko tahzib ke maktab ne sikhaya hai yahi
taKHti-e-dil na paDhun rang-e-qaba ko dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.