jism ke sab paimane ulTe ho jate hain
jism ke sab paimāne ulTe ho jaate haiñ
ham us kī āġhosh meñ bachche ho jaate haiñ
ḳhuub junūñ karte haiñ dil dukhtā hai jab bhī
aur is pāgalpan meñ achchhe ho jaate haiñ
vasl se pahle ḳhuun meñ nahlātī hai mohabbat
jhūThe bhī hoñ jism to sachche ho jaate haiñ
mere badan ko kyā shauq-e-pasmāndagī hai
phal mere pak kar phir kachche ho jaate haiñ
jiine kī raftār hai tez aur marne kī bhī
saare kaam ab vaqt se pahle ho jaate haiñ
jism ke sab paimane ulTe ho jate hain
hum us ki aaghosh mein bachche ho jate hain
KHub junun karte hain dil dukhta hai jab bhi
aur is pagalpan mein achchhe ho jate hain
wasl se pahle KHun mein nahlati hai mohabbat
jhuThe bhi hon jism to sachche ho jate hain
mere badan ko kya shauq-e-pasmandagi hai
phal mere pak kar phir kachche ho jate hain
jine ki raftar hai tez aur marne ki bhi
sare kaam ab waqt se pahle ho jate hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 126)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.