jism ki aanch nahin shoala-e-ruKHsar nahin
jism kī aañch nahīñ sho.ala-e-ruḳhsār nahīñ
husn kī ab vo kahīñ garmī-e-bāzār nahīñ
kaun sī ruuh pe bār-e-ġham-e-afkār nahīñ
kaun sā sar hai ki jis par koī talvār nahīñ
pheñk do mujh ko dahakte hue sūraj kī tarah
merī qismat meñ agar sāya-e-dīvār nahīñ
un ke pairoñ ke tale phuul bichhā.e jaa.eñ
aur maiñ lams-e-nazar kā bhī to haqdār nahīñ
kyoñ musir ho ki ġhalat baat kī tā.īd karūñ
maiñ to is jurm pe apnā bhī taraf-dār nahīñ
kis liye haiñ ye sazā aur jazā ke charche
jab tujhe merī haqīqat se bhī inkār nahīñ
paañv Thokar ko taraste haiñ ki tā-hadd-e-nazar
rāste meñ koī patthar nahīñ dīvār nahīñ
jab ye chaltī hai to dil kaaT diyā kartī hai
ham ne maanā ki zabāñ hai koī talvār nahīñ
mujh meñ dilchaspī ke asbāb na DhūñDo yaaro
ik haqīqat huuñ maiñ afsāne kā kirdār nahīñ
mujh ko tārīḳh meñ mahfūz kiyā jā.egā
maiñ sahīfa huuñ koī roz kā aḳhbār nahīñ
maiñ pareshāñ huuñ bhikārī to nahīñ huuñ logo
kyoñ koī aañkh milāne kā ravādār nahīñ
haq-ba-jānib ho jo hañste ho mirā ġham sun kar
mujh meñ be-shak ye kamī hai maiñ adākār nahīñ
ab tire jaur kā sūraj hai sivā neze par
zer-e-dīvār bhī ab sāya-e-dīvār nahīñ
tujh pe ā.eñge har ik samt se patthar 'shā.ir'
kūcha-e-yār hai ye misr kā bāzār nahīñ
jism ki aanch nahin shoala-e-ruKHsar nahin
husn ki ab wo kahin garmi-e-bazar nahin
kaun si ruh pe bar-e-gham-e-afkar nahin
kaun sa sar hai ki jis par koi talwar nahin
phenk do mujh ko dahakte hue suraj ki tarah
meri qismat mein agar saya-e-diwar nahin
un ke pairon ke tale phul bichhae jaen
aur main lams-e-nazar ka bhi to haqdar nahin
kyon musir ho ki ghalat baat ki taid karun
main to is jurm pe apna bhi taraf-dar nahin
kis liye hain ye saza aur jaza ke charche
jab tujhe meri haqiqat se bhi inkar nahin
panw Thokar ko taraste hain ki ta-hadd-e-nazar
raste mein koi patthar nahin diwar nahin
jab ye chalti hai to dil kaT diya karti hai
hum ne mana ki zaban hai koi talwar nahin
mujh mein dilchaspi ke asbab na DhunDo yaro
ek haqiqat hun main afsane ka kirdar nahin
mujh ko tariKH mein mahfuz kiya jaega
main sahifa hun koi roz ka aKHbar nahin
main pareshan hun bhikari to nahin hun logo
kyon koi aankh milane ka rawadar nahin
haq-ba-jaanib ho jo hanste ho mera gham sun kar
mujh mein be-shak ye kami hai main adakar nahin
ab tere jaur ka suraj hai siwa neze par
zer-e-diwar bhi ab saya-e-diwar nahin
tujh pe aaenge har ek samt se patthar 'shair'
kucha-e-yar hai ye misr ka bazar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.