Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ki dastaras se niklenge

Kumar Anupam

jism ki dastaras se niklenge

Kumar Anupam

MORE BYKumar Anupam

    jism dastaras se nikleñge

    ek din ham qafas se nikleñge

    gar mujhe aur mil gayā to kyā

    us ke rishte bhī das se nikleñge

    muñh na khulvā.īye pare haTiye

    laakh sho.ale nafas se nikleñge

    shā.erī meñ bhī hoñT āñkheñ lab

    zehn kab is havas se nikleñge

    ye musāfir haiñ shohratoñ ke dost

    sab ke sab pahlī bus se nikleñge

    mujh bure shaḳhs se bhī mil kar dekh

    zā.iqe nīm-ras se nikleñge

    jism ki dastaras se niklenge

    ek din hum qafas se niklenge

    gar mujhe aur mil gaya to kya

    us ke rishte bhi das se niklenge

    munh na khulwaiye pare haTiye

    lakh shoale nafas se niklenge

    shaeri mein bhi honT aankhen lab

    zehn kab is hawas se niklenge

    ye musafir hain shohraton ke dost

    sab ke sab pahli bus se niklenge

    mujh bure shaKHs se bhi mil kar dekh

    zaiqe nim-ras se niklenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now