jism kya hai kuchh nahin hai ek ghar miTTi ka hai
jism kyā hai kuchh nahīñ hai ek ghar miTTī kā hai
ḳhūb-sūrat to bahut hai haañ magar miTTī kā hai
saaf aur shaffāf shīshe kī tarah terā badan
aur mere saath terā ye safar miTTī kā hai
jism meñ aur qabr meñ kis darja hai yaksāniyat
ye bhī ghar miTTī kā hai aur vo bhī ghar miTTī kā hai
'āriz-o-gesū lab-o-ruḳhsār ye sab naam haiñ
maiñ to bas itnā kahūñgā ki bashar miTTī kā hai
chhoTī chhoTī baat par kitnā bikhar jaatā huuñ maiñ
mere jism-o-zāt par puurā asar miTTī kā hai
kūza-gar kuuza banā kar laakh itrā.e magar
maiñ samajhtā huuñ ki 'sūfī' ye hunar miTTī kā hai
jism kya hai kuchh nahin hai ek ghar miTTi ka hai
KHub-surat to bahut hai han magar miTTi ka hai
saf aur shaffaf shishe ki tarah tera badan
aur mere sath tera ye safar miTTi ka hai
jism mein aur qabr mein kis darja hai yaksaniyat
ye bhi ghar miTTi ka hai aur wo bhi ghar miTTi ka hai
'ariz-o-gesu lab-o-ruKHsar ye sab nam hain
main to bas itna kahunga ki bashar miTTi ka hai
chhoTi chhoTi baat par kitna bikhar jata hun main
mere jism-o-zat par pura asar miTTi ka hai
kuza-gar kuza bana kar lakh itrae magar
main samajhta hun ki 'sufi' ye hunar miTTi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.