jism mera tha magar saya kisi aur ka tha
jism merā thā magar saayā kisī aur kā thā
mere chehre kī jagah chehra kisī aur kā thā
ho ke ik shaḳhs kā maiñ hotā rahā ek se duur
maiñ kisī kā thā mujhe honā kisī aur kā thā
sab ke hisse kā mayassar thā maiñ sab ko lekin
merī har saañs pe haq pahlā kisī aur kā thā
yaad ke shahr meñ pahchāne se dar par maiñ ne
dastakeñ diiñ pe vo darvāza kisī aur kā thā
ab ke pahle sī na thī lafzoñ meñ ashkoñ kī namī
she'r merā thā magar lahja kisī aur kā thā
jism mera tha magar saya kisi aur ka tha
mere chehre ki jagah chehra kisi aur ka tha
ho ke ek shaKHs ka main hota raha ek se dur
main kisi ka tha mujhe hona kisi aur ka tha
sab ke hisse ka mayassar tha main sab ko lekin
meri har sans pe haq pahla kisi aur ka tha
yaad ke shahr mein pahchane se dar par main ne
dastaken din pe wo darwaza kisi aur ka tha
ab ke pahle si na thi lafzon mein ashkon ki nami
she'r mera tha magar lahja kisi aur ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.