Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism par hum koi diwar uThane lag jaen

Salim Saleem

jism par hum koi diwar uThane lag jaen

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    jism par ham koī dīvār uThāne lag jaa.eñ

    saaya saaya tire raste meñ bichhāne lag jaa.eñ

    paane lag jaa.eñ tujhe shahr ābādī meñ

    phir tire saath kisī dasht meñ jaane lag jaa.eñ

    ham ko darpesh hai duniyā safar āḳhir-e-kār

    apnī āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb sajāne lag jaa.eñ

    un kamānoñ se nikalte hue tīroñ qasam

    mere siine taraf saare nishāne lag jaa.eñ

    ek pal ke liye ham use socheñ aur phir

    jism ko ruuh ehsās karāne lag jaa.eñ

    jism par hum koi diwar uThane lag jaen

    saya saya tere raste mein bichhane lag jaen

    pane lag jaen tujhe shahr ki aabaadi mein

    phir tere sath kisi dasht mein jaane lag jaen

    hum ko darpesh hai duniya ka safar aaKHir-e-kar

    apni aankhon mein nae KHwab sajaane lag jaen

    un kamanon se nikalte hue tiron ki qasam

    mere sine ki taraf sare nishane lag jaen

    ek pal hi ke liye hum use sochen aur phir

    jism ko ruh ka ehsas karane lag jaen

    Source :
    • Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 40)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 2nd
    • Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 42)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2017)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now