jism phulon ke gaThile ho gae
jism phūloñ ke gaThīle ho ga.e
narm lahje bhī nukīle ho ga.e
kyā añdhere ke laboñ meñ zahr thā
raushnī ke hoñT niile ho ga.e
inkisārī aur anā kī jang meñ
mere andar do qabīle ho ga.e
'ishq kī fasleñ abhī pakkī nahīñ
sabr ke phal to rasīle ho ga.e
saañs ukhḌegī abhī to dekhnā
āñdhiy.oñ ke kas to Dhīle ho ga.e
ham añdhere meñ bahut sarsabz the
raushnī paḌte hī piile ho ga.e
jism phulon ke gaThile ho gae
narm lahje bhi nukile ho gae
kya andhere ke labon mein zahr tha
raushni ke honT nile ho gae
inkisari aur ana ki jang mein
mere andar do qabile ho gae
'ishq ki faslen abhi pakki nahin
sabr ke phal to rasile ho gae
sans ukhDegi abhi to dekhna
aandhiyon ke kas to Dhile ho gae
hum andhere mein bahut sarsabz the
raushni paDte hi pile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.