Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ru-posh the KHamosh duaon ki tarah

Mahmood Ishqi

jism ru-posh the KHamosh duaon ki tarah

Mahmood Ishqi

MORE BYMahmood Ishqi

    jism rū-posh the ḳhāmosh duāoñ tarah

    saa.e phirte rahe saḌkoñ pe vabāoñ tarah

    shāḳh par phuul khilā merī pahuñch se bāhar

    bel sharmātī hai terī adāoñ tarah

    dard-o-ġham Dālte rahte haiñ mire dil pe kamand

    yādeñ bhī lipTī haiñ bargad jatāoñ tarah

    shaam ke vaqt fazāoñ meñ ye uḌte panchhī

    gasht karte haiñ ḳhalāoñ meñ sadāoñ tarah

    ham to miTTī tarah sab se mile uTh uTh kar

    ham se milte haiñ magar log ḳhudāoñ tarah

    jism ru-posh the KHamosh duaon ki tarah

    sae phirte rahe saDkon pe wabaon ki tarah

    shaKH par phul khila meri pahunch se bahar

    bel sharmati hai teri hi adaon ki tarah

    dard-o-gham Dalte rahte hain mere dil pe kamand

    yaaden bhi lipTi hain bargad ki jataon ki tarah

    sham ke waqt fazaon mein ye uDte panchhi

    gasht karte hain KHalaon mein sadaon ki tarah

    hum to miTTi ki tarah sab se mile uTh uTh kar

    hum se milte hain magar log KHudaon ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now