jism se aari logon hi ka saya hai
jism se aarī logoñ hī kā saayā hai
rut ye kaisī kaisā mausam aaya hai
koī chīḳh fazā meñ ab to gūñjegī
sannāToñ ne kitnā shor machāyā hai
is rut meñ bhī pyāsī dhartī pyāsī hai
is rut meñ bhī bādal ghir kar aaya hai
us kī zarūrat us kī anā pe haavī hai
mujh se milne mere ghar tak aaya hai
peḌ pe baiThe panchhī ne ye pūchhā mujh se
shahr se 'sayyad' kyoñ jangal meñ aaya hai
jism se aari logon hi ka saya hai
rut ye kaisi kaisa mausam aaya hai
koi chiKH faza mein ab to gunjegi
sannaTon ne kitna shor machaya hai
is rut mein bhi pyasi dharti pyasi hai
is rut mein bhi baadal ghir kar aaya hai
us ki zarurat us ki ana pe hawi hai
mujh se milne mere ghar tak aaya hai
peD pe baiThe panchhi ne ye puchha mujh se
shahr se 'sayyad' kyon jangal mein aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.