jism se dur the ki lat bhi to lag sakti thi
jism se duur the ki lat bhī to lag saktī thī
ham ko is khel kī aadat bhī to lag saktī thī
jab gale mere musībat hī koī lagnī thī
to gale se ye mohabbat bhī to lag saktī thī
un ko har haal mirā qatl thā karnā varna
mere īmān kī qīmat bhī to lag saktī thī
kam se kam naam nadāmat se na leñ bachche mere
mujh se aisī koī tohmat bhī to lag saktī thī
saikḌoñ baar lagī haath ye ġham kī daulat
ik dafa haath masarrat bhī to lag saktī thī
dostī tum se baḌhāne meñ ye ḳhatra thā mujhe
dostī tum ko mohabbat bhī to lag saktī thī
jaise duniyā kī tumheñ āb-o-havā raas aa.ī
tum ko achchhī mirī sohbat bhī to lag saktī thī
maiñ ne is Dar se bulāyā nahīñ milne tanhā
tum ko khoTī mirī niyyat bhī to lag saktī thī
jism se dur the ki lat bhi to lag sakti thi
hum ko is khel ki aadat bhi to lag sakti thi
jab gale mere musibat hi koi lagni thi
to gale se ye mohabbat bhi to lag sakti thi
un ko har haal mera qatl tha karna warna
mere iman ki qimat bhi to lag sakti thi
kam se kam nam nadamat se na len bachche mere
mujh se aisi koi tohmat bhi to lag sakti thi
saikDon bar lagi hath ye gham ki daulat
ek dafa hath masarrat bhi to lag sakti thi
dosti tum se baDhane mein ye KHatra tha mujhe
dosti tum ko mohabbat bhi to lag sakti thi
jaise duniya ki tumhein aab-o-hawa ras aai
tum ko achchhi meri sohbat bhi to lag sakti thi
main ne is Dar se bulaya nahin milne tanha
tum ko khoTi meri niyyat bhi to lag sakti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.