jism se ruh tak utarti hui
jism se ruuh tak utartī huī
ek ḳhushbū thī vo bikhartī huī
jaise tūfān koī Thahrā huā
jaise aafat koī guzartī huī
us kī peshānī jaise chaḌhtī dhuup
zulf us kī thī chhāñv kartī huī
us ke abrū koī ghanā jangal
aur palak thī uḌaan bhartī huī
us kā chehra thā phuul khiltā huā
aañkh goyā thī baat kartī huī
zulf us kī siyāh shab kī tarah
sub.h-e-‘āriz pe shaam kartī huī
us ke dandān motiyoñ jaise
us kī bolī diloñ ko hartī huī
us ke lab the chhalakte paimāne
us kī gardan surāhī bhartī huī
us kī āvāz ik nadī kī tarah
dil ke vīrāne se guzartī huī
us kā siina kushāda ik maidāñ
us pe chaTTān vo ubhartī huī
us kamar kī lachak ko kyā kahiye
jaise hirnī koī guzartī huī
aur maġhrūr mornī kī tarah
do qadam chaltī aur Thahartī huī
us kī āñkhoñ kī yaad hai chitvan
sahmī sahmī huī sī Dartī huī
yuuñ sañvartī thī aa.ine ke qarīb
jaise taqdīr ho sañvartī huī
mere kamre meñ ab bhī hai maujūd
ek tasvīr baat kartī huī
jism se ruh tak utarti hui
ek KHushbu thi wo bikharti hui
jaise tufan koi Thahra hua
jaise aafat koi guzarti hui
us ki peshani jaise chaDhti dhup
zulf us ki thi chhanw karti hui
us ke abru koi ghana jangal
aur palak thi uDan bharti hui
us ka chehra tha phul khilta hua
aankh goya thi baat karti hui
zulf us ki siyah shab ki tarah
subh-e-‘ariz pe sham karti hui
us ke dandan motiyon jaise
us ki boli dilon ko harti hui
us ke lab the chhalakte paimane
us ki gardan surahi bharti hui
us ki aawaz ek nadi ki tarah
dil ke virane se guzarti hui
us ka sina kushada ek maidan
us pe chaTTan wo ubharti hui
us kamar ki lachak ko kya kahiye
jaise hirni koi guzarti hui
aur maghrur morni ki tarah
do qadam chalti aur Thaharti hui
us ki aankhon ki yaad hai chitwan
sahmi sahmi hui si Darti hui
yun sanwarti thi aaine ke qarib
jaise taqdir ho sanwarti hui
mere kamre mein ab bhi hai maujud
ek taswir baat karti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.