jism tanha hai ruh pyasi hai
jism tanhā hai ruuh pyāsī hai
sochiye to balā zarā sī hai
maiñ huuñ bachche kī khilkhilātī hañsī
aur tū oḌhī huī udāsī hai
kashtiyoñ ko bhī thā ye andesha
is samundar kī ruuh pyāsī hai
in na.e mausamoñ pe la.anat ho
in kī taazī adā bhī baasī hai
tum vahāñ kuchh Thahar bhī sakte ho
is kī āñkhoñ meñ kuchh hayā sī hai
ishq ham is liye bhī karte rahe
ye lagātār ḳhud-shanāsī hai
jism tanha hai ruh pyasi hai
sochiye to bala zara si hai
main hun bachche ki khilkhilati hansi
aur tu oDhi hui udasi hai
kashtiyon ko bhi tha ye andesha
is samundar ki ruh pyasi hai
in nae mausamon pe lanat ho
in ki tazi ada bhi basi hai
tum wahan kuchh Thahar bhi sakte ho
is ki aankhon mein kuchh haya si hai
ishq hum is liye bhi karte rahe
ye lagatar KHud-shanasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.