jismon mein ruh Khaar pe shabnam misal hai
jismon mein ruh Khaar pe shabnam misal hai
Khursheed Afsar Baswani
MORE BYKhursheed Afsar Baswani
jismoñ meñ ruuh ḳhaar pe shabnam misāl hai
duniyā kā haal zaḳhmī parinde kā haal hai
us kā badan chhuo to chamak jaa.eñ uñgliyāñ
us ke badan pe narm sī kirnoñ kī shaal hai
sab dekhte haiñ abr kā TukḌā jidhar bhī jaa.e
āvāra zindagī kā sabhī ko ḳhayāl hai
pyāsī zamīñ kā aa.ina hai zindagī mirī
sahrāoñ kā sarāb mirā arz-e-hāl hai
maiñ Duub kar bhī pyaas na apnī bujhā sakā
dariyā ko merī tishna-labī kā malāl hai
bāteñ karūñ to lafz lahakte haiñ aaj bhī
ā.īna dekhtā huuñ to chehra niDhāl hai
'afsar' mire sukūt pe hī munhasir nahīñ
har ḳhāmushī kashīd-e-navā-e-ḳhayāl hai
jismon mein ruh KHar pe shabnam misal hai
duniya ka haal zaKHmi parinde ka haal hai
us ka badan chhuo to chamak jaen ungliyan
us ke badan pe narm si kirnon ki shaal hai
sab dekhte hain abr ka TukDa jidhar bhi jae
aawara zindagi ka sabhi ko KHayal hai
pyasi zamin ka aaina hai zindagi meri
sahraon ka sarab mera arz-e-haal hai
main Dub kar bhi pyas na apni bujha saka
dariya ko meri tishna-labi ka malal hai
baaten karun to lafz lahakte hain aaj bhi
aaina dekhta hun to chehra niDhaal hai
'afsar' mere sukut pe hi munhasir nahin
har KHamushi kashid-e-nawa-e-KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.