jitna barham waqt tha utne hi KHud-sar hum bhi the
jitnā barham vaqt thā utne hī ḳhud-sar ham bhī the
mauj-e-tūfāñ thā agar pal pal to patthar ham bhī the
kaash koī ik uchaTtī sī nazar hī Dāltā
chuur the zaḳhmoñ se lekin ek manzar ham bhī the
gar vabāl-e-dosh thā sar haath meñ tesha bhī thā
ik taraf se to nasībe ke sikandar ham bhī the
ḳhud-shanāsī kā bhalā ho raakh kī chuTkī haiñ aaj
varna ik raḳhshanda-o-tābinda gauhar ham bhī the
sat.h-bīiñ the log kyā paate hamārī vus.ateñ
jhāñktā dil meñ koī to ik samundar ham bhī the
chaḌhte sūraj kī parastish go thā duniyā kā usuul
ham kisī ko pūjte kaise ki 'ḳhāvar' ham bhī the
jitna barham waqt tha utne hi KHud-sar hum bhi the
mauj-e-tufan tha agar pal pal to patthar hum bhi the
kash koi ek uchaTti si nazar hi Dalta
chur the zaKHmon se lekin ek manzar hum bhi the
gar wabaal-e-dosh tha sar hath mein tesha bhi tha
ek taraf se to nasibe ke sikandar hum bhi the
KHud-shanasi ka bhala ho rakh ki chuTki hain aaj
warna ek raKHshanda-o-tabinda gauhar hum bhi the
sath-biin the log kya pate hamari wusaten
jhankta dil mein koi to ek samundar hum bhi the
chaDhte suraj ki parastish go tha duniya ka usul
hum kisi ko pujte kaise ki 'KHawar' hum bhi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.