jitna bhitar se chhaTpaTata hun
jitnā bhītar se chhaTpaTātā huuñ
utnā bāhar se muskurātā huuñ
mujh ko aksar vahī Darāte haiñ
jin gunāhoñ ko bhuul jaatā huuñ
mujh ko detā hai hausla koī
jab bhī mushkil meñ ḳhud ko paatā huuñ
jab bhī hotī na.ī ġhazal koī
ḳhud se pahle tujhe sunātā huuñ
log ginte haiñ kirchiyāñ merī
itne hisse meñ TuuT jaatā huuñ
jiit letā huuñ maiñ samundar ko
aur qatre se haar jaatā huuñ
jitna bhitar se chhaTpaTata hun
utna bahar se muskuraata hun
mujh ko aksar wahi Daraate hain
jin gunahon ko bhul jata hun
mujh ko deta hai hausla koi
jab bhi mushkil mein KHud ko pata hun
jab bhi hoti nai ghazal koi
KHud se pahle tujhe sunata hun
log ginte hain kirchiyan meri
itne hisse mein TuT jata hun
jit leta hun main samundar ko
aur qatre se haar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.