jitna gahra teri raaton ka andhera hoga
jitnā gahrā tirī rātoñ kā añdherā hogā
ġham na kar utnā hī rangīn saverā hogā
maiñ jo mahfil se kahīñ uTh ke chalā jā.ūñgā
raushnī laakh karoge na saverā hogā
jab banā hogā kahīñ paikar-e-sīmīñ terā
husn-e-fitrat ne bahut rang bikherā hogā
raushnī de ke charāġhoñ ko bujhāne vaale
kyā ḳhabar thī ki tirā husn luTerā hogā
jis kī zau phūñk ke rakh degī añdhere 'jāved'
vo makāñ shahr meñ jaltā huā merā hogā
jitna gahra teri raaton ka andhera hoga
gham na kar utna hi rangin sawera hoga
main jo mahfil se kahin uTh ke chala jaunga
raushni lakh karoge na sawera hoga
jab bana hoga kahin paikar-e-simin tera
husn-e-fitrat ne bahut rang bikhera hoga
raushni de ke charaghon ko bujhane wale
kya KHabar thi ki tera husn luTera hoga
jis ki zau phunk ke rakh degi andhere 'jawed'
wo makan shahr mein jalta hua mera hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.