jitna jahan se dil ko lagata hai aadmi
jitnā jahāñ se dil ko lagātā hai aadmī
utnā ḳhudā ko bhūltā jaatā hai aadmī
qasmeñ zabāñ se jitnī bhī khātā hai aadmī
samjho ki utnā jhuuT chhupātā hai aadmī
auqāt apnī jab bhī dikhātā hai aadmī
insāniyat kā ḳhuun bahātā hai aadmī
daulat kā ho nasha ki javānī kā ho surūr
luTne ke baad hosh meñ aatā hai aadmī
ta.avīz meñ kahīñ to kahīñ jhaaḌ phūñk meñ
qur.ān bech bech ke khātā hai aadmī
jis ne bhī kah diyā ki tū dil ke qarīb hai
aañsū usī ko ḳhuuñ ke rulātā hai aadmī
'aḳhtar' kisī kā dard haqīqat meñ baañT kar
ḳhuld-e-barīñ kī raah banātā hai aadmī
jitna jahan se dil ko lagata hai aadmi
utna KHuda ko bhulta jata hai aadmi
qasmen zaban se jitni bhi khata hai aadmi
samjho ki utna jhuT chhupata hai aadmi
auqat apni jab bhi dikhata hai aadmi
insaniyat ka KHun bahata hai aadmi
daulat ka ho nasha ki jawani ka ho surur
luTne ke baad hosh mein aata hai aadmi
tawiz mein kahin to kahin jhaD phunk mein
quran bech bech ke khata hai aadmi
jis ne bhi kah diya ki tu dil ke qarib hai
aansu usi ko KHun ke rulata hai aadmi
'aKHtar' kisi ka dard haqiqat mein banT kar
KHuld-e-barin ki rah banata hai aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.