jitne bhi suraj ke neze the nukile ho gae
jitne bhī sūraj ke neze the nukīle ho ga.e
zindagī kī shāḳh ke sab phuul piile ho ga.e
ham ne hoñToñ par sajā.e jab mohabbat ke gulāb
ḳhuun ke pyāse hamāre hī qabīle ho ga.e
vaqt ne shāḳhoñ se apnī kar diyā un ko alag
sabz patte peḌ ke jis vaqt piile ho ga.e
qabr kī tārīkiyāñ kuchh baḌh ga.iiñ to kyā huā
merī beTī ke to suune haath piile ho ga.e
kaun jaane chal paḌī hai baaġh meñ kaisī havā
vaqt se pahle hī saare phal rasīle ho ga.e
āñdhiyāñ hasrat se apnā sar paTaktī rah ga.iiñ
bach ga.e vo peḌ 'sābir' jo lachīle ho ga.e
jitne bhi suraj ke neze the nukile ho gae
zindagi ki shaKH ke sab phul pile ho gae
hum ne honTon par sajae jab mohabbat ke gulab
KHun ke pyase hamare hi qabile ho gae
waqt ne shaKHon se apni kar diya un ko alag
sabz patte peD ke jis waqt pile ho gae
qabr ki tarikiyan kuchh baDh gain to kya hua
meri beTi ke to sune hath pile ho gae
kaun jaane chal paDi hai bagh mein kaisi hawa
waqt se pahle hi sare phal rasile ho gae
aandhiyan hasrat se apna sar paTakti rah gain
bach gae wo peD 'sabir' jo lachile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.