jitne dhage yaadon ke the baDhte baDhte jal hue
jitne dhāge yādoñ ke the baḌhte baḌhte jaal hue
aaj kā din phir lauT aayā hai ham phir se behāl hue
kitnī bahāreñ guzrīñ jaane kitnī ḳhizā.eñ biit ga.iiñ
kaun gine ab mausam itne us se bichhḌe saal hue
ek yahī thī daulat apnī vo bhī kis ne chhīnī hai
kyā batlā.eñ us ko kho kar ham kaise kañgāl hue
jaane kis ne boyā thā ye ġham kā biij adāvat meñ
saare paude sūkhe lekin us pe phal har saal hue
sub.h ugī ḳhāmoshī se aur din bhī gayā hai fursat se
jaatī shaam ke lamhe lekin ab jī kā janjāl hue
jitne dhage yaadon ke the baDhte baDhte jal hue
aaj ka din phir lauT aaya hai hum phir se behaal hue
kitni bahaaren guzrin jaane kitni KHizaen bit gain
kaun gine ab mausam itne us se bichhDe sal hue
ek yahi thi daulat apni wo bhi kis ne chhini hai
kya batlaen us ko kho kar hum kaise kangal hue
jaane kis ne boya tha ye gham ka bij adawat mein
sare paude sukhe lekin us pe phal har sal hue
subh ugi KHamoshi se aur din bhi gaya hai fursat se
jati sham ke lamhe lekin ab ji ka janjal hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.