jitne hisson mein chahe baT jaane do
jitne hissoñ meñ chāhe baT jaane do
dil kā dard bahar-sūrat ghaT jaane do
nadī kināre hogā koī aas lagā.e
roko mat gorī ko panghaT jaane do
aane vaale qadmoñ kī āvāz suno
jaane vaale paañv kī aahaT jaane do
jabran bhī karte haiñ kahīñ iqrār-e-vafā
rahne do mat ulTo ghūñghaT jaane do
jaan kī qīmat baa'd meñ chāhe de denā
pahle dil kā saudā to paT jaane do
pānī-pānī chīḳh rahī hai dhyān na do
pyāsī dhartī kā siina phaT jaane do
ġhaur se paḌhne do 'aḳhtar' injīl-e-vafā
mujh ko is kā lafz lafz raT jaane do
jitne hisson mein chahe baT jaane do
dil ka dard bahar-surat ghaT jaane do
nadi kinare hoga koi aas lagae
roko mat gori ko panghaT jaane do
aane wale qadmon ki aawaz suno
jaane wale panw ki aahaT jaane do
jabran bhi karte hain kahin iqrar-e-wafa
rahne do mat ulTo ghunghaT jaane do
jaan ki qimat ba'd mein chahe de dena
pahle dil ka sauda to paT jaane do
pani-pani chiKH rahi hai dhyan na do
pyasi dharti ka sina phaT jaane do
ghaur se paDhne do 'aKHtar' injil-e-wafa
mujh ko is ka lafz lafz raT jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.