jitne naghme the wajh-e-KHalish ban gae jitne nale the sarf-e-hawa ho gae
jitne naghme the wajh-e-KHalish ban gae jitne nale the sarf-e-hawa ho gae
Khurshidul islam
MORE BYKhurshidul islam
jitne naġhme the vaj.h-e-ḳhalish ban ga.e jitne naale the sarf-e-havā ho ga.e
ham vahī haiñ jo kal the magar kyā huā ham vahīñ haiñ magar kyā se kyā ho ga.e
jin ke dāman tahī aur ḳhālī the dil jin kī jur.at thī kam aur jaañ muzmahil
āstānoñ pe sajde vo karte rahe rafta rafta hamāre ḳhudā ho ga.e
is zamāne ke jo mīr-o-sultān the nau-e-ādam meñ ya.anī jo insān the
dil se paa.ī unhoñne vo nashv-o-numā tere kūche ke āḳhir gadā ho ga.e
shor sīnoñ meñ uTh uTh ke dabte rahe dil-jigar duur gurdoñ meñ khapte rahe
haath kitne the yaañ jo qalam ho ga.e saaz kyā kyā the jo be-sadā ho ga.e
yaar duniyā ke sāñche meñ Dhalte rahe sham.a fānūs the ham pighalte rahe
apnī tanhā-ravī apnā soz-e-darūñ ham bhī duniyā meñ ik mājrā ho ga.e
ab na ḳhatra hai dil meñ na koī ḳhalish ek baaqī rahā hai to rañg-e-tapish
dil subuk aur saada hai is taur se qarz jitne the goyā adā ho ga.e
ġham sañvarte rahe ham sambhalte rahe shauq manzil ke sheve badalte rahe
the jo nazdīk ham se vo ab duur haiñ the jo nā-āshnā āshnā ho ga.e
jitne naghme the wajh-e-KHalish ban gae jitne nale the sarf-e-hawa ho gae
hum wahi hain jo kal the magar kya hua hum wahin hain magar kya se kya ho gae
jin ke daman tahi aur KHali the dil jin ki jurat thi kam aur jaan muzmahil
aastanon pe sajde wo karte rahe rafta rafta hamare KHuda ho gae
is zamane ke jo mir-o-sultan the nau-e-adam mein yani jo insan the
dil se pai unhonne wo nashw-o-numa tere kuche ke aaKHir gada ho gae
shor sinon mein uTh uTh ke dabte rahe dil-jigar dur gurdon mein khapte rahe
hath kitne the yan jo qalam ho gae saz kya kya the jo be-sada ho gae
yar duniya ke sanche mein Dhalte rahe shama fanus the hum pighalte rahe
apni tanha-rawi apna soz-e-darun hum bhi duniya mein ek majra ho gae
ab na KHatra hai dil mein na koi KHalish ek baqi raha hai to rang-e-tapish
dil subuk aur sada hai is taur se qarz jitne the goya ada ho gae
gham sanwarte rahe hum sambhalte rahe shauq manzil ke shewe badalte rahe
the jo nazdik hum se wo ab dur hain the jo na-ashna aashna ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.