jitne qisse hain mere shikwa-e-bedad hain sab
jitne qisse haiñ mire shikva-e-bedād haiñ sab
zikr kaahe ko haiñ afsāna-e-faryād haiñ sab
lillāh al-hamd ki maiñ ranj-farāmosh nahīñ
jo sitam tum ne kiye haiñ vo mujhe yaad haiñ sab
jis taraf dekhiye do tiin phaḌakte haiñ asiir
kyuuñ na sayyād ḳhushī ho qafas ābād haiñ sab
ḳhvāst-gārān-e-qazā haiñ tah-e-ḳhanjar be-tāb
shā.eq-e-husn-e-ijāzat tire jallād haiñ sab
un ko taklīf-risānī kī abas hai ta.alīm
nāla-o-āh-o-fuġhāñ tere sitam-zād haiñ sab
phuuT jaa.e jo phapholā to ravāñ hoñ aañsū
ashk ai jān-e-jahāñ ābla-buniyād haiñ sab
tauq-o-zanjīr ke ḳhvāhāñ haiñ tire dīvāne
roz-o-shab muntazir-e-ḳhidmat-e-haddād haiñ sab
kufr-o-islām barābar haiñ zamān-e-rahmat
husn jitne haiñ zamāne meñ ḳhudā-dād haiñ sab
tā-kujā kāvish-e-sayyād ajal hai nazdīk
ek din is qafas-e-jism se āzād haiñ sab
ab ye hālat hai ki dushman bhī duā dete haiñ
dast-bardāshta mere liye jallād haiñ sab
nā-tavāñ vo huuñ ki har baal vabāl-e-jāñ hai
zo.af se mū-e-badan ḳhanjar-e-faulād haiñ sab
saḳht jaañ huuñ mirī taskīñ ko batā de qātil
kis qadar ghar meñ tire ḳhanjar-e-faulād haiñ sab
maiñ huā qais huā vāmiq-e-bechāra huā
dil-giraftār haiñ sab āshiq-e-nāshād haiñ sab
āshiq-o-vahshī-o-dīvāna-o-rusvā kah ke
jis tarah chāhe bulā tere hī irshād haiñ sab
aamad aamad hai magar mere sahī qāmat kī
baaġh meñ har taraf istāda jo shamshād haiñ sab
ek se ek nirālā hai zamāne meñ hasīñ
jalva-e-nūr-e-ilāhī ye parī-zād haiñ sab
terī āñkhoñ ke jo mazmūn likhe haiñ maiñ ne
harf jitne nazar aate haiñ mujhe saad haiñ sab
duur tak terī guzargāh-e-jafā hai o turk
haft-aflāk mire maskan-e-fariyād haiñ sab
apne ash.ār kā ātish ne diyā aap javāb
mo'tariz ho jiye to qābil-e-īrād haiñ sab
raast kahtā huuñ ye maiñ 'nāshiḳh'-o-'saudā'-o-'nasīm'
apne andāz meñ be-misl haiñ ustād haiñ sab
jitne qisse hain mere shikwa-e-bedad hain sab
zikr kahe ko hain afsana-e-faryaad hain sab
lillah al-hamd ki main ranj-faramosh nahin
jo sitam tum ne kiye hain wo mujhe yaad hain sab
jis taraf dekhiye do tin phaDakte hain asir
kyun na sayyaad KHushi ho qafas aabaad hain sab
KHwast-garan-e-qaza hain tah-e-KHanjar be-tab
shaeq-e-husn-e-ijazat tere jallad hain sab
un ko taklif-risani ki abas hai talim
nala-o-ah-o-fughan tere sitam-zad hain sab
phuT jae jo phaphola to rawan hon aansu
ashk ai jaan-e-jahan aabla-buniyaad hain sab
tauq-o-zanjir ke KHwahan hain tere diwane
roz-o-shab muntazir-e-KHidmat-e-haddad hain sab
kufr-o-islam barabar hain zaman-e-rahmat
husn jitne hain zamane mein KHuda-dad hain sab
ta-kuja kawish-e-sayyaad ajal hai nazdik
ek din is qafas-e-jism se aazad hain sab
ab ye haalat hai ki dushman bhi dua dete hain
dast-bardashta mere liye jallad hain sab
na-tawan wo hun ki har baal wabaal-e-jaan hai
zoaf se mu-e-badan KHanjar-e-faulad hain sab
saKHt jaan hun meri taskin ko bata de qatil
kis qadar ghar mein tere KHanjar-e-faulad hain sab
main hua qais hua wamiq-e-bechaara hua
dil-giraftar hain sab aashiq-e-nashad hain sab
aashiq-o-wahshi-o-diwana-o-ruswa kah ke
jis tarah chahe bula tere hi irshad hain sab
aamad aamad hai magar mere sahi qamat ki
bagh mein har taraf istada jo shamshad hain sab
ek se ek nirala hai zamane mein hasin
jalwa-e-nur-e-ilahi ye pari-zad hain sab
teri aankhon ke jo mazmun likhe hain main ne
harf jitne nazar aate hain mujhe sad hain sab
dur tak teri guzargah-e-jafa hai o turk
haft-aflak mere maskan-e-fariyaad hain sab
apne ashaar ka aatish ne diya aap jawab
mo'tariz ho jiye to qabil-e-irad hain sab
rast kahta hun ye main 'nashiKH'-o-'sauda'-o-'nasim'
apne andaz mein be-misl hain ustad hain sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.