jitne the tere jalwe sab ban gae but-KHane
jitne the tire jalve sab ban ga.e but-ḳhāne
ab chashm-e-tamāshā.ī kyuuñ kar tujhe pahchāne
asrār haqīqat ke samjhe nahīñ farzāne
taqsīr to thī un kī maare ga.e dīvāne
mastān-e-mohabbat ne duniyā meñ yahī dekhā
TuuTe hue paimāne TuuTe hue mai-ḳhāne
phūloñ kī hañsī se bhī dil jin kā nahīñ khiltā
un ko bhī hañsāte haiñ hañste hue paimāne
vo haal sunā.ūñ kyā jo ġhair-mukammal hai
ab tak kī to maiñ jānūñ aage kī ḳhudā jaane
jhagḌā na kabhī uThtā tū-tū na kabhī hotī
kuchh shaiḳh hai dīvāna kuchh riñd haiñ dīvāne
vo mujh pe karam-farmā hogā ki nahīñ hogā
yā us ko ḳhudā jaane yā merī qazā jaane
ham kahte rahe jab tak rūdād mohabbat kī
hañste rahe farzāne rote rahe dīvāne
samjhā thā jinheñ apnā jab un kī ravish ye hai
auroñ kī shikāyat kyā begāne to begāne
vahshat to nahīñ mujh ko ai 'josh' magar phir bhī
yaad aate haiñ rah rah kar chhoḌe hue vīrāne
jitne the tere jalwe sab ban gae but-KHane
ab chashm-e-tamashai kyun kar tujhe pahchane
asrar haqiqat ke samjhe nahin farzane
taqsir to thi un ki mare gae diwane
mastan-e-mohabbat ne duniya mein yahi dekha
TuTe hue paimane TuTe hue mai-KHane
phulon ki hansi se bhi dil jin ka nahin khilta
un ko bhi hansate hain hanste hue paimane
wo haal sunaun kya jo ghair-mukammal hai
ab tak ki to main jaanun aage ki KHuda jaane
jhagDa na kabhi uThta tu-tu na kabhi hoti
kuchh shaiKH hai diwana kuchh rind hain diwane
wo mujh pe karam-farma hoga ki nahin hoga
ya us ko KHuda jaane ya meri qaza jaane
hum kahte rahe jab tak rudad mohabbat ki
hanste rahe farzane rote rahe diwane
samjha tha jinhen apna jab un ki rawish ye hai
auron ki shikayat kya begane to begane
wahshat to nahin mujh ko ai 'josh' magar phir bhi
yaad aate hain rah rah kar chhoDe hue virane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.