Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jitne zaruri kaam hain wo kal pe Tal kar

Neeraj Naveed

jitne zaruri kaam hain wo kal pe Tal kar

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    jitne zarūrī kaam haiñ vo kal pe Taal kar

    baiThe haiñ un ke sāmne dil ko sañbhāl kar

    us ko bhī mushkiloñ koī Dar nahīñ hai aur

    kartā huuñ maiñ bhī faisla sikka uchhāl kar

    tābīr-e-ḳhvāb ho na sakā ḳhvāb to thā

    ab bhuul ab aur na us malāl kar

    maiñ ḳhush nahīñ huuñ tujh se bichhaḌ kar mire habīb

    ḳhush hai ek baar ye ḳhud se savāl kar

    ab mujh meñ aur laḌne himmat nahīñ rahī

    ai zindagī ab aur na mujh ko nidhāl kar

    'nīraj' anā to Thiik marāsim na tark ho

    jo kuchh huā vo bhuul ke rishta bahāl kar

    jitne zaruri kaam hain wo kal pe Tal kar

    baiThe hain un ke samne dil ko sanbhaal kar

    us ko bhi mushkilon ka koi Dar nahin hai aur

    karta hun main bhi faisla sikka uchhaal kar

    tabir-e-KHwab ho na saka KHwab hi to tha

    ab bhul ja ab aur na us ka malal kar

    main KHush nahin hun tujh se bichhaD kar mere habib

    tu KHush hai ek bar ye KHud se sawal kar

    ab mujh mein aur laDne ki himmat nahin rahi

    ai zindagi ab aur na mujh ko nidhaal kar

    'niraj' ana to Thik marasim na tark ho

    jo kuchh hua wo bhul ke rishta bahaal kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now