jo aaine mein nazar tujhko aa raha hoga
jo aa.ine meñ nazar tujh ko aa rahā hogā
vo dekhnā pas-e-ā.īna bhī chhupā hogā
hañsī kā jis ne labāda laboñ pe oḌhā hai
use zarūr koī zaḳhm bhī milā hogā
safīr-e-ishq kabhī dekh jā ke maqtal meñ
sināñ kī nok pe vaañ 'ishq bhī dharā hogā
jalāo dil ke diye vahshatoñ ke 'ālam meñ
shab-e-firāq yahī ek aasrā hogā
maiñ dar pe roz hī taktī huuñ raah qāsid kī
ye soch kar ki mujhe us ne ḳhat likhā hogā
ḳhabar kahāñ hai ye ham kārvān-e-sahrā ko
ki jis ko samjhe haiñ manzil vo rāsta hogā
maiñ so sakī na kabhī 'reshmāñ' sukūn ke saath
ye soch kar ki kahīñ vo bhī jāgtā hogā
jo aaine mein nazar tujh ko aa raha hoga
wo dekhna pas-e-aina bhi chhupa hoga
hansi ka jis ne labaada labon pe oDha hai
use zarur koi zaKHm bhi mila hoga
safir-e-ishq kabhi dekh ja ke maqtal mein
sinan ki nok pe wan 'ishq bhi dhara hoga
jalao dil ke diye wahshaton ke 'alam mein
shab-e-firaq yahi ek aasra hoga
main dar pe roz hi takti hun rah qasid ki
ye soch kar ki mujhe us ne KHat likha hoga
KHabar kahan hai ye hum karwan-e-sahra ko
ki jis ko samjhe hain manzil wo rasta hoga
main so saki na kabhi 'reshman' sukun ke sath
ye soch kar ki kahin wo bhi jagta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.