jo aap apne waqt ke sanchon mein Dhal gae
jo aap apne vaqt ke sāñchoñ meñ Dhal ga.e
sach pūchhiye to ruḳh vo havā kā badal ga.e
sar par unhīñ ke vaqt ne rakkhā hai taaj bhī
jo Thokareñ zamāne kī khā kar sañbhal ga.e
maañ kā lihāz jin ko na hī baap kā ḳhayāl
aise bhī kuchh javān mohabbat meñ pal ga.e
tū mujh se duur thā to makāñ terā bach gayā
mere qarīb ke to makāñ saare jal ga.e
un ko bhī mere dard kā ehsās ho gayā
aañsū ḳhud un kī aañkh se do chaar Dhal ga.e
apnā hī qissa maiñ ne kiyā thā bayāñ abhī
lekin kisī ke chehre ke tevar badal ga.e
kuchh un kā ruḳh bhī badlā huā sā mujhe lagā
kuchh chaal mere saath sitāre bhī chal ga.e
mujh ko Dasā hai 'fauq' unhīñ ne hī baar baar
kuchh saañp āstīnoñ meñ merī jo pal ga.e
jo aap apne waqt ke sanchon mein Dhal gae
sach puchhiye to ruKH wo hawa ka badal gae
sar par unhin ke waqt ne rakkha hai taj bhi
jo Thokaren zamane ki kha kar sanbhal gae
man ka lihaz jin ko na hi bap ka KHayal
aise bhi kuchh jawan mohabbat mein pal gae
tu mujh se dur tha to makan tera bach gaya
mere qarib ke to makan sare jal gae
un ko bhi mere dard ka ehsas ho gaya
aansu KHud un ki aankh se do chaar Dhal gae
apna hi qissa main ne kiya tha bayan abhi
lekin kisi ke chehre ke tewar badal gae
kuchh un ka ruKH bhi badla hua sa mujhe laga
kuchh chaal mere sath sitare bhi chal gae
mujh ko Dasa hai 'fauq' unhin ne hi bar bar
kuchh sanp aastinon mein meri jo pal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.