jo aasman sa hamari nazar mein rahta hai
jo aasman sa hamari nazar mein rahta hai
Dharmendra Tijoriwale Azad
MORE BYDharmendra Tijoriwale Azad
jo āsmāñ sā hamārī nazar meñ rahtā hai
vo kuchh dhuāñ sā hamārī nazar meñ rahtā hai
use chiḌhāne lagā hai vo aa.ina lekin
abhī javāñ sā hamārī nazar meñ rahtā hai
hameñ to ab bhī nahīñ us se kuchh gile shikve
vo kyoñ ruvāñsā hamārī nazar meñ rahtā hai
kamī tumhārī bahut hī yahāñ pe khaltī hai
jo kārvāñ sā hamārī nazar meñ rahtā hai
Thahar gayā hai jo palkoñ meñ āñ.suoñ kī tarah
vo ban ke jaañ sā hamārī nazar meñ rahtā hai
jo aasman sa hamari nazar mein rahta hai
wo kuchh dhuan sa hamari nazar mein rahta hai
use chiDhane laga hai wo aaina lekin
abhi jawan sa hamari nazar mein rahta hai
hamein to ab bhi nahin us se kuchh gile shikwe
wo kyon ruwansa hamari nazar mein rahta hai
kami tumhaari bahut hi yahan pe khalti hai
jo karwan sa hamari nazar mein rahta hai
Thahar gaya hai jo palkon mein aansuon ki tarah
wo ban ke jaan sa hamari nazar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.