jo ab jawan hai wo azm-e-jawan rahe na rahe
jo ab javāñ hai vo azm-e-javāñ rahe na rahe
bahār aa.e na aa.e ḳhizāñ rahe na rahe
pata nahīñ ki samundar meñ bād-e-tūfāñ bhī
safīna ho ke na ho bādbāñ rahe na rahe
qadam qadam pe ugī ranjishoñ ke aalam meñ
javār-e-yār dar-e-dostāñ rahe na rahe
ghar apnā bhar lo abhī ḳhair hai ujāloñ se
jab āñdhiyāñ hoñ diyā zau-fishāñ rahe na rahe
ham inqalāb kā baa.is jise samajhte haiñ
vo garm ḳhuun ragoñ meñ ravāñ rahe na rahe
nafas nafas hai sharābor jis kī nik.hat se
vo gul khileñ na khileñ gulsitāñ rahe na rahe
bhaTak rahe haiñ nishānoñ se tiir ab us ke
kaḌī abhī bhī vo dekho kamāñ rahe na rahe
abhī ubhār lo alfāz jo dabe hoñ 'nihāl'
dahan ke saath hamesha zabāñ rahe na rahe
jo ab jawan hai wo azm-e-jawan rahe na rahe
bahaar aae na aae KHizan rahe na rahe
pata nahin ki samundar mein baad-e-tufan bhi
safina ho ke na ho baadban rahe na rahe
qadam qadam pe ugi ranjishon ke aalam mein
jawar-e-yar dar-e-dostan rahe na rahe
ghar apna bhar lo abhi KHair hai ujalon se
jab aandhiyan hon diya zau-fishan rahe na rahe
hum inqalab ka bais jise samajhte hain
wo garm KHun ragon mein rawan rahe na rahe
nafas nafas hai sharabor jis ki nikhat se
wo gul khilen na khilen gulsitan rahe na rahe
bhaTak rahe hain nishanon se tir ab us ke
kaDi abhi bhi wo dekho kaman rahe na rahe
abhi ubhaar lo alfaz jo dabe hon 'nihaal'
dahan ke sath hamesha zaban rahe na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.