jo abhi mera hai tere sang hona chahiye
jo abhī merā hai tere sañg honā chāhiye
chāhtā huuñ haath yuuñ bhī tañg honā chāhiye
bas yahī kuchh soch kar dil meñ tire maiñ aa basā
koī is ghar meñ tirā pāsañg honā chāhiye
kab talak ye band kamre aur galī-kūchoñ kā ḳhauf
zindagī meñ koī to āhañg honā chāhiye
pahle phere meñ to duniyā mujh se pīchhe rah ga.ī
pair meñ ab ke mire kuchh lañg honā chāhiye
koī maujoñ se yūñhī aTkheliyāñ karte rahe
aur sāhil par kisī ko tañg honā chāhiye
sañg-dil laḌkoñ se majnūñ ko bachāne ke liye
haath meñ tere bhī lailā sañg honā chāhiye
titliyāñ 'manzar' laḌakpan meñ jo ham ko de ga.iiñ
apne hāthoñ par vahī ab rañg honā chāhiye
jo abhi mera hai tere sang hona chahiye
chahta hun hath yun bhi tang hona chahiye
bas yahi kuchh soch kar dil mein tere main aa basa
koi is ghar mein tera pasang hona chahiye
kab talak ye band kamre aur gali-kuchon ka KHauf
zindagi mein koi to aahang hona chahiye
pahle phere mein to duniya mujh se pichhe rah gai
pair mein ab ke mere kuchh lang hona chahiye
koi maujon se yunhi aTkheliyan karte rahe
aur sahil par kisi ko tang hona chahiye
sang-dil laDkon se majnun ko bachane ke liye
hath mein tere bhi laila sang hona chahiye
titliyan 'manzar' laDakpan mein jo hum ko de gain
apne hathon par wahi ab rang hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.