jo ada dil-kusha nahin hoti
jo adā dil-kushā nahīñ hotī
kuchh bhī ho vo adā nahīñ hotī
ye hai apnī pasand par mauqūf
jaan sab par fidā nahīñ hotī
vo kalī ḳhaar se bhī bad-tar hai
jis meñ bū-e-vafā nahīñ hotī
husn ke dil pe ho asar jis kā
aisī koī duā nahīñ hotī
vo sazā de rahe haiñ ye kah kar
kyā mohabbat ḳhatā nahīñ hotī
jo mile husn kī adālat se
dar-haqīqat sazā nahīñ hotī
un se kah do ki be-naqāb na hoñ
har nazar pārsā nahīñ hotī
ye mohabbat hai us ke parde meñ
zulm kī intihā nahīñ hotī
aap kahte haiñ nā-ravā to kaheñ
arz-e-ġham nā-ravā nahīñ hotī
jo ada dil-kusha nahin hoti
kuchh bhi ho wo ada nahin hoti
ye hai apni pasand par mauquf
jaan sab par fida nahin hoti
wo kali KHar se bhi bad-tar hai
jis mein bu-e-wafa nahin hoti
husn ke dil pe ho asar jis ka
aisi koi dua nahin hoti
wo saza de rahe hain ye kah kar
kya mohabbat KHata nahin hoti
jo mile husn ki adalat se
dar-haqiqat saza nahin hoti
un se kah do ki be-naqab na hon
har nazar parsa nahin hoti
ye mohabbat hai us ke parde mein
zulm ki intiha nahin hoti
aap kahte hain na-rawa to kahen
arz-e-gham na-rawa nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.