jo andheron mein misal-e-yad-e-baiza Thahre
jo añdheroñ meñ misāl-e-yad-e-baizā Thahre
bas vahī log zamāne meñ tamāshā Thahre
jo masīhā kī tavajjoh ho kisī aur taraf
manzil-e-dard meñ kis tarah mudāvā Thahre
aap ko rang-e-mohabbat bhī nazar aa jaa.e
merī āñkhoñ meñ zarā ḳhuun kā dariyā Thahre
darmiyāñ apne agar dard kā rishta na rahe
phir to duniyā meñ har ik shaḳhs akelā Thahre
dosto sang-e-malāmat pe na isrār karo
ham se ye baar na uTThegā ki shīsha Thahre
ab na shīrīñ hai na vo vā’da-e-fardā kā yaqīñ
dast-e-farhād meñ phir kis liye tesha Thahre
jo andheron mein misal-e-yad-e-baiza Thahre
bas wahi log zamane mein tamasha Thahre
jo masiha ki tawajjoh ho kisi aur taraf
manzil-e-dard mein kis tarah mudawa Thahre
aap ko rang-e-mohabbat bhi nazar aa jae
meri aankhon mein zara KHun ka dariya Thahre
darmiyan apne agar dard ka rishta na rahe
phir to duniya mein har ek shaKHs akela Thahre
dosto sang-e-malamat pe na israr karo
hum se ye bar na uTThega ki shisha Thahre
ab na shirin hai na wo wa’da-e-farda ka yaqin
dast-e-farhad mein phir kis liye tesha Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.