jo apne KHwab ki takmil karna chahte hain
jo apne ḳhvāb kī takmīl karnā chāhte haiñ
mire mizāj ko tabdīl karnā chāhte haiñ
koī sune na sune phir bhī har sadā apnī
ham in fazāoñ meñ tahlīl karnā chāhte haiñ
ye chāhte haiñ ki har ashk ik charāġh bane
ham apnī āñkhoñ ko qindīl karnā chāhte haiñ
vo jin kī koī bhī tāvīl mo'atabar na huī
vo pesh phir na.ī tāvīl karnā chāhte haiñ
jo muntaḳhab hue ta.amīl-e-hukm karne ko
ham un ke hukm kī ta.amīl karnā chāhte haiñ
jo apne KHwab ki takmil karna chahte hain
mere mizaj ko tabdil karna chahte hain
koi sune na sune phir bhi har sada apni
hum in fazaon mein tahlil karna chahte hain
ye chahte hain ki har ashk ek charagh bane
hum apni aankhon ko qindil karna chahte hain
wo jin ki koi bhi tawil mo'atabar na hui
wo pesh phir nai tawil karna chahte hain
jo muntaKHab hue tamil-e-hukm karne ko
hum un ke hukm ki tamil karna chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.