jo apni chhoTi aankhon mein baDe sapne sajaenge
jo apnī chhoTī āñkhoñ meñ baḌe sapne sajā.eñge
vo un ke TūTne kā baa'd meñ mātam manāeñge
na kar tū fikr tere baa'd is duniyā kā kyā hogā
tujhe kuchh roz meñ hī duniyā vaale bhuul jā.eñge
mujhe ḳhāmosh kar ke ho rahā hai ḳhush magar sun le
mire qisse jahāñ vaale suneñge aur sunā.eñge
ujālā bechne vo aa ga.e haiñ aaj bastī meñ
jo kal kah kar ga.e the ham añdheroñ ko miTā.eñge
paḌā hai aaj miTTī ke tale un kā badan 'ātif'
jo dā'vā karte the ham miTTī ko sonā banā.eñge
jo apni chhoTi aankhon mein baDe sapne sajaenge
wo un ke TuTne ka ba'd mein matam manaenge
na kar tu fikr tere ba'd is duniya ka kya hoga
tujhe kuchh roz mein hi duniya wale bhul jaenge
mujhe KHamosh kar ke ho raha hai KHush magar sun le
mere qisse jahan wale sunenge aur sunaenge
ujala bechne wo aa gae hain aaj basti mein
jo kal kah kar gae the hum andheron ko miTaenge
paDa hai aaj miTTi ke tale un ka badan 'atif'
jo da'wa karte the hum miTTi ko sona banaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.