jo ashk bach gae unhen lata hun kaam mein
jo ashk bach ga.e unheñ laatā huuñ kaam meñ
thoḌī sī dhuup roz milātā huuñ shaam meñ
bastī meñ ik charāġh ke jalne se raat bhar
kyā kyā ḳhalal paḌā hai sitāroñ ke kaam meñ
ik shaḳhs apnī zaat kī ta.amīr chhoḌ kar
masrūf āj-kal hai mire inhidām meñ
mujh ko bhī is galī meñ mohabbat kisī se thī
ab naam kyā batā.ūñ rakhā kyā hai naam meñ
'kāshif' husain dasht meñ jitne bhī din rahā
baiThā nahīñ ġhubār mire ehtirām meñ
jo ashk bach gae unhen lata hun kaam mein
thoDi si dhup roz milata hun sham mein
basti mein ek charagh ke jalne se raat bhar
kya kya KHalal paDa hai sitaron ke kaam mein
ek shaKHs apni zat ki tamir chhoD kar
masruf aaj-kal hai mere inhidam mein
mujh ko bhi is gali mein mohabbat kisi se thi
ab nam kya bataun rakha kya hai nam mein
'kashif' husain dasht mein jitne bhi din raha
baiTha nahin ghubar mere ehtiram mein
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 19)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.