jo ashk-e-dil-gudaz mein sharar na ho lahu na ho
jo ashk-e-dil-gudāz meñ sharar na ho lahū na ho
ye vāqi.a hai ishq-e-sāda-lauh surḳh-rū na ho
zarūrat-e-sahar mujhe na ḳhvāhish-e-shaguft-e-gul
vo chāk-e-pairahan mile jo hashr tak rafū na ho
jo rahguzar meñ pis gayā tire ḳhirām-e-nāz se
vo zarra-e-ḳhamosh bhī jabīn-e-ārzū na ho
jise ġhubār-e-rahguzar samajh ke tū guzar gayā
ḳhayāl kar kabhī vahī maqām-e-justujū na ho
tū gulshan-e-hayāt se nasīm kī tarah guzar
fareb-e-ḳhār-o-ḳhas na khā asīr-e-rang-o-bū na ho
sar-e-ġhurūr jhuk gayā jabīñ pur-āb ho ga.ī
vo hāl-e-dil samajh ga.e hazār guftugū na ho
nigāh ḳhaam hai abhī junūñ meñ puḳhtagī nahīñ
isī meñ ḳhair hai tirī vo shoḳh rū-ba-rū na ho
nazāra-e-jamāl bhī yaqīnan ik gunāh hai
mai-e-adab se 'faiz' agar nigāh kā vuzū na ho
jo ashk-e-dil-gudaz mein sharar na ho lahu na ho
ye waqia hai ishq-e-sada-lauh surKH-ru na ho
zarurat-e-sahar mujhe na KHwahish-e-shaguft-e-gul
wo chaak-e-pairahan mile jo hashr tak rafu na ho
jo rahguzar mein pis gaya tere KHiram-e-naz se
wo zarra-e-KHamosh bhi jabin-e-arzu na ho
jise ghubar-e-rahguzar samajh ke tu guzar gaya
KHayal kar kabhi wahi maqam-e-justuju na ho
tu gulshan-e-hayat se nasim ki tarah guzar
fareb-e-KHar-o-KHas na kha asir-e-rang-o-bu na ho
sar-e-ghurur jhuk gaya jabin pur-ab ho gai
wo haal-e-dil samajh gae hazar guftugu na ho
nigah KHam hai abhi junun mein puKHtagi nahin
isi mein KHair hai teri wo shoKH ru-ba-ru na ho
nazara-e-jamal bhi yaqinan ek gunah hai
mai-e-adab se 'faiz' agar nigah ka wuzu na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.