jo azal hi se muqaffal hai wo ghar kholega
jo azal hi se muqaffal hai wo ghar kholega
Naushad Ahmad Kareemi
MORE BYNaushad Ahmad Kareemi
jo azal hī se muqaffal hai vo ghar kholegā
aaj vo mere liye sātvāñ dar kholegā
DhūñDhtā hai jo bahar-gām na.ī raah yahāñ
vo musāfir bhī kabhī raḳht-e-safar kholegā
sabz pattoñ kī qabā kis ne hai chhīnī us se
ik-na-ik roz ye uqda to shajar kholegā
us kī qismat pe sabhī rashk to karte haiñ magar
kitne paanī meñ sadaf hai ye guhar kholegā
ek muddat se jo baiThā hai simaT kar ḳhud meñ
vo parinda bhī havā dekh ke par kholegā
mom kī tarah pighal jā.eñge patthar kitne
ek fankār jahāñ dast-e-hunar kholegā
rāz-e-hastī bhī kisī roz yahāñ par 'naushād'
dekhnā mujh sā koī ḳhāk-basar kholegā
jo azal hi se muqaffal hai wo ghar kholega
aaj wo mere liye satwan dar kholega
DhunDhta hai jo bahar-gam nai rah yahan
wo musafir bhi kabhi raKHt-e-safar kholega
sabz patton ki qaba kis ne hai chhini us se
ik-na-ik roz ye uqda to shajar kholega
us ki qismat pe sabhi rashk to karte hain magar
kitne pani mein sadaf hai ye guhar kholega
ek muddat se jo baiTha hai simaT kar KHud mein
wo parinda bhi hawa dekh ke par kholega
mom ki tarah pighal jaenge patthar kitne
ek fankar jahan dast-e-hunar kholega
raaz-e-hasti bhi kisi roz yahan par 'naushad'
dekhna mujh sa koi KHak-basar kholega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.