Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo ba-kamal the un par zawal aa hi gaya

Riaz Rahi

jo ba-kamal the un par zawal aa hi gaya

Riaz Rahi

MORE BYRiaz Rahi

    jo bā-kamāl the un par zavāl aa gayā

    falak pe uḌte parindoñ pe jaal aa gayā

    ḳhizāñ se gulshan-e-hastī ujaḌ gayā lekin

    zamīñ pe phuul khile aur jamāl aa gayā

    agarche zulm ke pahre the harf-e-goyā par

    asīr-e-jabr ke lab par savāl aa gayā

    vuqūf-e-jahl se bā’d-az-ḳharābi-e-bisyār

    shu'ūr-e-zāt āḳhir ḳhayāl aa gayā

    misāl-e-gul jo mahaktā thā zikr-e-jānāñ se

    vabāl-e-hijr se dil meñ malāl aa gayā

    tamām 'umr jo husn-e-gurez-pā Thahrā

    magar ḳhayāl meñ us ḳhayāl aa gayā

    vo jis zikr buzurgoñ se sunte the 'rāhī'

    ġhazab ḳhudā vo qaht-ur-rijāl aa gayā

    jo ba-kamal the un par zawal aa hi gaya

    falak pe uDte parindon pe jal aa hi gaya

    KHizan se gulshan-e-hasti ujaD gaya lekin

    zamin pe phul khile aur jamal aa hi gaya

    agarche zulm ke pahre the harf-e-goya par

    asir-e-jabr ke lab par sawal aa hi gaya

    wuquf-e-jahl se ba’d-az-KHarabi-e-bisyar

    shu'ur-e-zat ka aaKHir KHayal aa hi gaya

    misal-e-gul jo mahakta tha zikr-e-jaanan se

    wabaal-e-hijr se dil mein malal aa hi gaya

    tamam 'umr jo husn-e-gurez-pa Thahra

    magar KHayal mein us ka KHayal aa hi gaya

    wo jis ka zikr buzurgon se sunte the 'rahi'

    ghazab KHuda ka wo qaht-ur-rijal aa hi gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now