jo baat achchhi nahin lagti usulan
jo baat achchhī nahīñ lagtī usūlan
use ham chhoḌ dete haiñ yaqīnan
nikālo duudh kī nahreñ yaqīnan
magar miltī hai shīrīñ ittifāqan
zabāñ luknat-zada bad-niyyatoñ kī
ham apnī baat kah dete haiñ fauran
diloñ ke beach ik dīvār sī hai
mileñ bhī ham to ab milte haiñ rasman
badan us kā hai ḳhushbū chāñd naġhma
tabhī to ham jhuke haiñ ehtirāman
ye mat samjho hai rassī duur mujh se
kabhī ham Dhiil de dete haiñ qasdan
yahī ab sher kā me.aar Thahrā
ravayya khurdurā thā ehtijājan
raqīboñ se tumheñ milnā hai 'āsim'
niyām-o-teġh rakh lo ehtiyātan
jo baat achchhi nahin lagti usulan
use hum chhoD dete hain yaqinan
nikalo dudh ki nahren yaqinan
magar milti hai shirin ittifaqan
zaban luknat-zada bad-niyyaton ki
hum apni baat kah dete hain fauran
dilon ke beach ek diwar si hai
milen bhi hum to ab milte hain rasman
badan us ka hai KHushbu chand naghma
tabhi to hum jhuke hain ehtiraman
ye mat samjho hai rassi dur mujh se
kabhi hum Dhil de dete hain qasdan
yahi ab sher ka mear Thahra
rawayya khurdura tha ehtijajan
raqibon se tumhein milna hai 'asim'
niyam-o-tegh rakh lo ehtiyatan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.