jo baat baat pe kahta tha tu hamara hai
jo baat baat pe kahtā thā tū hamārā hai
vo aaj ham se ye kahtā hai tū parāyā hai
kisī ne haal jo pūchhā kabhī hamārā to
kahā javāb meñ itnā ki bas guzārā hai
talāsh chāk-e-garebāñ havā meñ kartā huuñ
so mere saath ḳhudā ne kise utārā hai
jo shaḳhs aag ke dariyā meñ kuud aayā hai
ḳhabar nahīñ hai use kis taraf kinārā hai
vo itnā Dher sakhī hai har ik se kahtā hai
ai merī jaan mirā dil faqat tumhārā hai
vo jiit saktā thā lekin tū ahl-e-kūfa thā
tabhī yazīd ke lashkar se jang haarā hai
yahī to 'ishq ne 'sārim' sikhā diyā mujh ko
ki dil kushāda rahe har taraf ḳhasārā hai
jo baat baat pe kahta tha tu hamara hai
wo aaj hum se ye kahta hai tu paraya hai
kisi ne haal jo puchha kabhi hamara to
kaha jawab mein itna ki bas guzara hai
talash chaak-e-gareban hawa mein karta hun
so mere sath KHuda ne kise utara hai
jo shaKHs aag ke dariya mein kud aaya hai
KHabar nahin hai use kis taraf kinara hai
wo itna Dher sakhi hai har ek se kahta hai
ai meri jaan mera dil faqat tumhaara hai
wo jit sakta tha lekin tu ahl-e-kufa tha
tabhi yazid ke lashkar se jang haara hai
yahi to 'ishq ne 'sarim' sikha diya mujh ko
ki dil kushada rahe har taraf KHasara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.