jo baat dil mein hai wo main kah dun to main ghalat hun
jo baat dil mein hai wo main kah dun to main ghalat hun
Sonia Aks Sonam
MORE BYSonia Aks Sonam
jo baat dil meñ hai vo maiñ kah duuñ to maiñ ġhalat huuñ
agar maiñ zanjīr-e-duniyā toḌūñ to maiñ ġhalat huuñ
ġhalat nahīñ hai ḳhud apne baare meñ soch lenā
tire muqābil kisī ko sochūñ to maiñ ġhalat huuñ
ye zindagī kā safar hai chalnā hai shart is meñ
agar kahīñ par maiñ thak ke baiThūñ to maiñ ġhalat huuñ
maiñ phuul huuñ merī saarī ḳhushbū tire liye hai
agar kahīñ aur jā ke mahkūñ to maiñ ġhalat huuñ
ye terī marzī hai tū ruke yā ki saath chhoḌe
maiñ jaane vaale tujhe na rokūñ to maiñ ġhalat huuñ
vo koī ilzām chāhe mujh par lagā.e 'alkā'
agar maiñ apnī zabān kholūñ to maiñ ġhalat huuñ
jo baat dil mein hai wo main kah dun to main ghalat hun
agar main zanjir-e-duniya toDun to main ghalat hun
ghalat nahin hai KHud apne bare mein soch lena
tere muqabil kisi ko sochun to main ghalat hun
ye zindagi ka safar hai chalna hai shart is mein
agar kahin par main thak ke baiThun to main ghalat hun
main phul hun meri sari KHushbu tere liye hai
agar kahin aur ja ke mahkun to main ghalat hun
ye teri marzi hai tu ruke ya ki sath chhoDe
main jaane wale tujhe na rokun to main ghalat hun
wo koi ilzam chahe mujh par lagae 'alka'
agar main apni zaban kholun to main ghalat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.