jo baat ek aap ki nichi nazar mein hai
jo baat ek aap kī nīchī nazar meñ hai
vo baat ai huzūr kahāñ chārāgar meñ hai
āñkhoñ kī is namī kā sabab pūchhte ho kyā
afsāna ik tavīl mirī chashm-e-tar meñ hai
jis ke ḳhayāl se hai munavvar ye kā.enāt
vo husn-e-be-panāh to mere jigar meñ hai
manzil kī justujū meñ jo niklā thā ek din
vo qāfila to sunte haiñ ab bhī safar meñ hai
paa.ī hai un ke chehra-e-anvar meñ bārhā
jo baat maiñ ne dekhī tulū-e-sahar meñ hai
ishq-o-vafā ḳhulūs-o-mohabbat hai zindagī
mutlaq nahīñ vo zindagī jo māl-o-zar meñ hai
chal kar zarā to dekh qadam to baḌhā ke dekh
ik chāshnī ajiib rah-e-pur-ḳhatar meñ hai
ye aur baat hai ki huuñ 'manzar' qafas-nashīñ
varna balā kī taab mire bāl-o-par meñ hai
jo baat ek aap ki nichi nazar mein hai
wo baat ai huzur kahan chaaragar mein hai
aankhon ki is nami ka sabab puchhte ho kya
afsana ek tawil meri chashm-e-tar mein hai
jis ke KHayal se hai munawwar ye kaenat
wo husn-e-be-panah to mere jigar mein hai
manzil ki justuju mein jo nikla tha ek din
wo qafila to sunte hain ab bhi safar mein hai
pai hai un ke chehra-e-anwar mein barha
jo baat main ne dekhi tulu-e-sahar mein hai
ishq-o-wafa KHulus-o-mohabbat hai zindagi
mutlaq nahin wo zindagi jo mal-o-zar mein hai
chal kar zara to dekh qadam to baDha ke dekh
ek chashni ajib rah-e-pur-KHatar mein hai
ye aur baat hai ki hun 'manzar' qafas-nashin
warna bala ki tab mere baal-o-par mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.